1. apni aankho ke samundar meiN utar jaane de tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
2. neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki kisi deewar ke saye ka barosa kya hai apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid' warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai
3. apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai
4. Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe
5. log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN neend se mera taaluq hi nahin barso sein khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
6. mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee
7. jhoothi sachchi aas pay jeena kab tak aakhir aakhir kab tak mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak saucha hai ab paar utraingay ya Takra kar doob marenge toofanoN ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain sainkDo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak
8. saare badan ka khoon paseene meiN jal gaya itna chale ke jiSm hamara piGhal gaya chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya achha hua jo raah meiN Thokar lagee humeN hum gir paDe to saara jamaana sambhal gaya wehshat meiN koi saath humara na de saka daaman ke fiKr kee to garebaaN nikal gaya
9. saamne hai jo usey log bura kehte haiN jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN faasile umR ke kuch aur badha deti hai jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir' jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN
10. ye kareN aur wo kareN aisa kareN waisa kareN zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya kareN jee meiN aaata hai ki deiN parde se parde ka jawaab hum se wo parda kareN duniyaa se hum parda kareN sun raha hoon kuch luTere aa gayey haiN shehar meiN aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa kareN is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida kareN
11. jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai meri tarah se akela dikhayee deta hai yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai
12. shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayeN pehle haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras oof wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras
GHAZAL LYRICS
i delicates this blog to ghazal lover
Thursday, October 15, 2015
Beyond Time (Album) by Jagjit Singh
Echoes (Album) by Jagjit Singh
1. huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon
2. safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi raasta nahin deta muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo
3. shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar' main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta
4. aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN
5. mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle use samaJhne ka koi to silsila nikle kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara na jaane kaun sa panna muDa hua nikle jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai usi ke baare meiN socho to faasila nikle
6. BoliyaN (Punjabi)
7. mai khayal hu kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
8. aisa lagta hai zindagi tum ho ajnabee kaise ajnabee tum ho ab koi aarzoo nahin baakee justjoo meri aakhri tum ho main zameen par ghana andhera hoon aasmaanoN ki chandni tum ho dostoN se wafa ki ummeedeN kis zamaane ke aadmi tum ho
9. maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN 'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN
10. dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede fir se ek baar muJhe meri jawaani dede abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN koi to shaam muJhe aisi suhaani dede nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede
11. tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi raah taarikh hai aur door hai manzil lekin dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
12. fir usi raah guzar kar shaayad hum kabhi mil sakeN magar shaayad jaan pehchaan se kya hoga fir bhi ae dosth gaur kar shaayad muntjir jinke hum rahe unko mil gaye aur hum-safar shaayad jo bhee bicHDe hain kab mile hain 'faraar' fir bhee tu intezaar kar shaayad
A Sound Affair (Album) by Jagjit Singh
1. ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
2. Ye to nahiN ke gam nahiN haaN meri aaNkh nam nahiN tum bhi to tum nahiN ho aaj hum bhi to aaj hum nahiN ab na khushi kee hai khushi gam ka bhi ab to gam nahiN maut agar che-maut hai maut se zeest kam nahiN
3. kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah log milte haiN badalte huye mausam kee tarah mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
4. socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN
5. kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH
6. jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe salha-saal mere naam baraabar likhe kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.
7. aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai waqt ke saath haalaat badal jaate haiN ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
8. manzil na de charaag na de hauslaa to de tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb mere khuda kahaN hai tu apna pata to de beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de
Ecstasies (Album) By Jagjit Singh
1. jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la zara si pyaas to buJha sharaab la sharaab la tere shabab par sada karam rahe bahaar ka tuJhe lage meri dua sharaab la sharaab la yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh meiN mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la
2. paseene paseene huye jaa rahe ho ye bolo kahaN se chale aa rahe ho hameN sabR karne ko keh to rahe ho magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho ye aaina hai ye to sach hi kahega kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho
3. tumne sooli pe latakte jise dekha hoga waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar rang hoga na badan hoga na chehra hoga
4. mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega diwaroN se takraaOge jab ishq tumhe ho jaayega har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge tabeejeN bhi bandhwaaOge jab ishq tumhe ho jaayega tanhaayee ke jhoole jhoolOge har baat puraani bhoolOge aayine se ghabraOge jab ishq tumhe ho jaayega jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega tum bhi ghar der se aaOge jab ishq tumhe ho jaayega bechaiNi jab baDh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi tum meri ghazaleN gaOge jab ishq tumhe ho jaayega
5. jabse hum tabah ho gaye tum jahan-panah ho gaye husn par nikhaar aa gaya aayine se aah ho gaye aandhiyoN ki kuch khata nahiN hum hi dard-e-raah ho gaye dushmanoN ko chitthiyaN likho dosth khair-baah ho gaye
6. humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe
7. ik nazar dekh ke hum jaan gaye aap kya cheez haiN pehchaan gaye fir bhi zinda hooN ajab baat hai ye kab se ho leke meri jaan gaye tum jo aaye to bhari mehfil meiN dil gaye haath se eemaaN gaye jis jagah par na farishte pahuNche us jagah aaj ke insaan gaye
8. bahut dinoN kee baat hai fizaa ko yaad bhi nahiN ye baat aaj kee nahiN bahut dinoN kee baat hai shabaab par bahaar thee fizaa bhi khush-gawaar thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada kisi ne muJhko rok'kar badi adaa se Tok'kar kaha tha lauT aae'iye meri kasam naa jaai'iye par muJhe khaBar na thee maahOl par nazar na thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada maiN shehaR se phir aa gaya khayal thaa ke paa gaya us'e jo muJhse door thee magar meri zaroor thee aur ik hasiN shaaM ko maiN chal paDa salaam ko gali ka rang dekh'kar nayee tarang dekh'kar muJhe baDi khushi huyee maiN kuch isi khushee meiN tha kisi ne Jhaank'kar kaha paraaye ghar se jaai'iye meri kasma na aai'iye wahi haseeN shaam hai bahaar jiska naam hai chala hooN ghar ko choDkar na jaane jaaoonga kidhar koi nahiN jo Tok'kar koi nahiN jo Rok'kar kahe ke laut aai'iye meri kasam na jaai'iye
The Latest (Album) by Jagjit Singh
1. ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo bhale cheen lo muJhse meri jawaani magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani mohalle ki sabse nishaani purani wo buDhiya jise bachche kehte the naani wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi wo choti see raateN wo lambi kahaaNi kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana gharOnde banana, banaake miTaana wo maasoom chaahat ki tasveer apni wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
2. shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya 'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
3. zindagi tuJhko jiya hai koi afsOs nahiN zehar khud maiNe piya hai koi afsOs nahiN maiNe muJrim ko bhi muJrim na kaha duniYa meiN bas yahi zurm kiya hai koi afsOs nahiN meri kismat meiN jo likkhe the unHi kaanToN se dil ke zakhmoN ko seeya hai koi afsOs nahiN ab gire sanG ke sishoN ki hoon baarisH 'faakir' ab kaFan ODh liya hai koi afsOs nahiN
4. us's mod se shuru kareN phir Ye zindagi har shay jahaN haseen thee, hum tum the ajnabi lekar chale the hum jiNhe jannat ke khwaab the phooloN ke khwaab the wo mohabbat ke khwaab the lekin kahan hai unmeiN wo pehle see dilkashi rehte the hum haseeN khaYaaloN ki bheeD meiN ulJhe huye haiN aaj sawaaloN ki bheeD meiN aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghaDi shaayad ye waqt humse koi chaal chal gaya rishta wafa ka aur hi rangoN meiN dhal gaya ashkoN ki chandini se thee behtar wo dhooP hi
5. jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN us'se lipaT ke roye, deewana-waar barsoN tum gulsitaN se aaYe zikRe khizaaN hilaaye humNe kafas meiN dekhi fasle bahaar barsoN hoti rahee hai yuN to barsaat aasuOn kee uTh'Te rahe hain phir bhi dil se gubaaR barsoN wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha karte raheN hai jiska hum intezaar barsoN
6. charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee shabaaB ki naqaaB gum, baDi haseen raat thee muJhe pila rahe the wo ke khud hi shamma buJh gayee gilaas gum, sharaab gum, baDi haseen raat thee likHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee laboN se laB jo mil gaye, laboN se laB hi sil gaye sawaal gum, jawaab gum, baDi haseen raat thee
7. dil ke deewaroN dar pe kya dekha bas tera naam hi likha dekha teri aankhoN meiN humne kya dekha kabhi qaatil kabhi khuda dekha apnee soorat lagi paryee si jab kabhi humne aa'inah dekha haaye andaaz tere ruKne ka waqt ko bhi ruKa ruKa dekha tere jaane meiN aur aane meiN humne sadiyoN ka faasila dekha phir na aaya khayaal zannat ka jab tere ghar ka raasta dekha
8. Dhal gaya aaftaaB ae saaqi la pila de sharaab ae saaqi ya suraahi laga mere mooh se ya ulaT de naqaab ae saaqi maikada choD kar kahaN jaaooN hai zamana kharaaB ae saaqi jaam bhaR de gunaahgaarOn ke ye bhi hai ik sawaab ae saaqi aaj peene de aur peene de kal karenge hisaab ae saaqi
Main Aur Meri Tanhai (Album) By Jagjit Singh
1. hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi chalke gulaabi, chalke gulaabi taqdeer dil ki khaana kharaabi jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN hasrat na koi reh jaaye baaki kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge bas raat bhar ke mehmaan hum haiN zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN baaki rahega saagar na saaqi
2. mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho ek muddat se tumhare hi liye rakha hai mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand
3. awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee jaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste koi bhee nahin apna begaane hain sab raste raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
4. aawaara hai galiyon meiN main aur meri tanhayee jaayeN to kahan jaayeN har moD pe ruswaayee maiN aur meri tanhaayee maiN aur meri tanhaayee ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste koi bhee nahin apna begaane hain sab raste raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee aakaash ke maathe par taaroN ka charagam hai pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai aankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
5. tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate haiN ham aksar dostoN ki bewafee seh to lete haiN magar hum jaante haiN dil hamaare TooT jaate haiN kisi ke saath jab beete huye lamhoN ki yaad aayee thaki aakhoN meiN askhoN ke sitaare jhilmilaate haiN ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate haiN
6. baad muddat unheN dekh kar yooN laga jaise betaab dil ko qaraar aa gaya aarzoo ke gul muskuraane lage jaise gulshan meiN bahaar aa gaya tishna nazreN mili shokh nazroN se jab maiN barasne lagi jaam bharne lage saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya raat sone lagi subah hone lagi shamma buJhne lagi dil machalne lage waqt ki roshni meiN nahaayee huyi zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya
A Milestone (Album) By Jagjit Singh
1. milkar juda huye tho na soya karenge hum ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar moti palak palak meiN piroyaa karenge hum jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel' sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum
2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel' gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
3. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
4. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman kar diya tune agar mere hawaale muJhko waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel' shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko
5. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
6. angDai par angDai leti hai raat judaaee kee tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
7. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN naa jaane kis adaa se liya toone mera naam duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye
10. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaaO hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaaO
Subscribe to:
Posts (Atom)